Thursday, February 5, 2009

Latoo - Ghajini

That’s small step for a man,
A giant leap for mankind

Naa jaaiye naa jaaiye…
Latoo latoo latoo main uspe latoo,
Latoo latoo latoo main
Al al al al ala..
Palak kyu phadke re,
Dil kyu dhadke re,
Khitak si jau re,
Kyu mein sharmau re,
Aaj yeh kaun aaya,
Khushboon sa chaaya,
Chaal mein ghughroo hai,
Mausam hai, oh oh oh oh wooohh
Yaar yaar yaar mera yaar aaya,
Mera yaar yaar yaar mera yaar aaya
Mera yaar yaar yaar
Latoo latoo latoo main uspe latoo- 2 times
Yaar yaar yaar mera yaar aaya,
Mera yaar yaar yaar mera yaar aaya
Mera yaar yaar yaar..

Uske aane se bass jaaye,
Sune sune mann ka ilaaka,
Naa jaaiye..
Woh bass kar de ishara,
Aur mein bolu jo hukm ho aaka,
Naa jaaiye…

Oh tad tad simba vey,
Oh tad tad simba vey,
Oh tad tad saimba vey..hooo yaa,
Oh tad tad saimba vey..hooo yaa,
Maza ri maza ri maza ri simba vey,
Maza ri maza ri maza ri simba vey..
Hooo…
Maza ri maza ri maza ri simba vey,
Maza ri maza ri maza ri simba vey..

Masti mein ti, woh hai,
Jeene mein jee ,woh hai,
Seene mein see, woh hai,
Dhak dhak dhak har dhadkan mein woh,
Pani mein pa woh hai,
Dhaani mein dha woh hai,
Maani mein maa woh hai,
Saazon mein har har sargam mein woh,
Lutf kya uski aashiqui mein hai,
Usko ghoonth ghoonth mein pee lu,
Zindagi uske nashe mein jee lu,
Latoo latoo latoo main uspe latoo – 2 times
Yaar yaar yaar mera yaar aaya,
Mera yaar yaar yaar mera yaar aaya
Mera yaar yaar yaar..

Oh palak kyu phadke re,
Dil kyu dhadke re,
Khitak si jau re,
Kyu mein sharmau re,
Aaj yeh kaun aaya,
Khushboon sa chaaya,
Chaal mein ghughroo hai,
Mausam hai, oh oh oh oh wooohh
Yaar yaar yaar mera yaar aaya,
Mera yaar yaar yaar mera yaar aaya
Mera yaar yaar yaar..
Yaar yaar yaar yaar yaar yaar
Yaar yaar yaar yaar yaar yaar
Latoo latoo latoo main uspe latoo – 3 times

Wednesday, February 4, 2009

Kaise Mujhe - Ghajini

Hoo hooo oooo..
Hoo hoo hooo…
Oooo..hoo…hooo..oooo
Hooo hooo…

Kaise mujhe tu mil gayi,
Kismat pe aaye naa yaakeen,
Utar aayi jheel mein jaise chand utarta hai kabhi,
Haule haule dheere se,
Gunguni dhoop ki tarah se taranum mein tum,
Choo ke mujhe guzari hu yu,
Dekhu tumhe ya mein sunu,
Tum ho sukoon, tum ho junoon,
Kyu pehle naa aayi tum?
Kaise mujhe tu mil gayi, hoo hoo..
Kismat pe aaye naa yaakeen, hoo hoo..

Mein to yeh sochta tha ki aaj kal,
Upar wale ko fursat nahi,
Phir bhi tumhe bana ke woh,
Meri nazar mein chadh gaya,
Rutbe mein woh aur badh gaya..

Aaaa..aaaaa…
Aaaa..aaaa….
Hoo..hoo…hooo..

Badle raaste jharne aur nadi,
Badli deep ki timtim,
Chedhe zindagi dhun koi nayee,
Badli barkha ki rimjhim,
Badlengi rituyein adaa,
Par mein rahungi sada,
Ussi tarah teri bahon mein baahein daalke,
Har lamha, har pal..

Aaaa..aaaaa…
Aaaa..aaaa….
Zindagi sitar ho gayi,
Rimjhim malhaar ho gayi,
Mujhe aata nahi kismat pe apni yakeen,
Kaise mujhko mili tum..

Tuesday, February 3, 2009

Guzarish - Ghajini

Hmmm hmmmm..
Tu meri adhoori pyaas pyaas,
Tu aa gayi mann ko raas raas,
Ab to…
Tu meri adhoori pyaas pyaas,
Tu aa gayi mann ko raas raas,
Ab to tu aa jaa paas paas,
Hai guzarish..

Hai haal to dil ka tang tang,
Tu rang jaa mere rang rang,
Bas chalna mere sang sang,
Hai guzarish..
Kehde tu haan to zindagi,
Jharno se choot ke hassegi,
Moti honge moti rahon mein..
Yeah yeah yeah,
Tu meri adhoori pyaas pyaas,
Tu aa gayi mann ko raas raas,
Ab to tu aa jaa paas paas,
Hai guzarish..

Sheeshe ke khwab leke,
Raton mein chal raha hu,
Takra naa jaun kahin,
Aasha ki lau hai roshan,
Phir bhi toofan ka darr hai,
Lau bujh naa jaaye kahin,
Bass ek haan ki guzarish,
Phir hongi khushiyon ki baarish,
Tu meri adhoori pyaas pyaas,
Tu aa gayi mann ko raas raas,
Ab to tu aa jaa paas paas,
Hai guzarish..

Hmm hmmm…
Hmmm hmmmm… mmm
Ohh ohooo…

Chanda hai aasman hai,
Aur baadal bhi ghane hai,
Yeh chanda chup jaaye naa,
Tanhai dass rahi hai,
Aur dhadkan badh rahi hai,
Ek pal bhi chein aaye naa,
Kaisi ajab daastan hai,
Bechainiyan bass yahan hai.. hooo…

Tu meri adhoori pyaas pyaas,
Tu aa gayi mann ko raas raas,
Ab to tu aa jaa paas paas,
Hai guzarish..
Hai haal to dil ka tang tang,
Tu rang jaa mere rang rang,
Bas chalna mere sang sang,
Hai guzarish..
Kehde tu haan to zindagi,
Jharno se choot ke hassegi,
Moti honge moti rahon mein..
Yeah yeah yeah,
Tu meri adhoori pyaas pyaas

Hmm hmmm…
mmm… hmmm.. mmm….

Monday, February 2, 2009

Behka - Ghajini

Behka main behka,
Wo behki hawa si aayi,
Ek hi nazar mein sab,
Manzil wanzil paayi,
Hatke alag si thi,
Bilkul juda si, yeahhh
Naa hi adaayein, naa koi angdaayi,
Behka behka main behka behka,
Mehka mehka yeh mann hai mehka,
Behka main behka,
Wo behki hawa si aayi,
Ek hi nazar mein sab,
Manzil wanzil paayi…

Dhadkan dhak dhak dhak dhak hui,
Dil tha tha tha tha tha thayee,
Chaal dagmag mag dagmag mag hui,
Jhomoo jhamak jhama jham,
Rasta takoon takoon takoon takoon mein,
Pal pal jagoon jagoon jagoon mein,
Baar baar badal karwat,
Usko sochu main,
Behka behka main behka behka,
Mehka mehka yeh mann hai mehka,
Guzre jahan se woh raunak udaaye,
Chalke nadi si woh,
Mujhko bheegoti jaaye,
Woh gungunaye, nageenein lutaaye,
Khatta sa bachpan, meethi shararat,
Thoda resham hai, thodi nazaakat,
Kabhi sharmaaye, kabhi lehraaye,
Usmein saahil hai aur jaane kitni gehraayi,
Behka main behka,
Wo behki hawa si aayi,
Ek hi nazar mein sab,
Manzil wanzil paayi,
Hatke alag si thi,
Bilkul juda si, yeahhh
Naa hi adaayein, naa koi angdaayi..

Behka behka main behka behka,
Mehka mehka yeh mann hai mehka,
Uski boli jaise phoolon ki toil,
Uska chalna rituein badalna,
Jhooth bhi uske sach lage, achche lage,
Sach se bhi bade lage,
Raah mein uski, haath bandhe,
Palke bichaaye hue,
Sar ko jhukaaye hue,
Khushboon se chahye hue,
Taktaki lagaye hue,
Saath saath jaane kitne,
Saare mausam khade rahe..

[Behka main behka,
Wo behki hawa si aayi,
Ek hi nazar mein sab,
Manzil wanzil paayi] -2 times
Hatke alag si thi,
Bilkul juda si, yeahhh
Naa hi adaayein, naa koi angdaayi,
[Behka main haan behka behka main
Behka main, oh behka behka behka main] – 3 times

Sunday, February 1, 2009

Aye Bachchu - Ghajini

(Jhoom le jhoom jhoom jhoom jhooma ke jhoom
Pairon mein ta ta thaiya tum tumake tum) – 2 times

Aye bachchu..

Aye bachu tu sun le,
Mere dil ka yeh order,
Ab khool ke jee le tu,
Koi seema naa border,
Halka sa nasha hai,
Masti ki wine mein,
Jeene ka hai chaska,
To aa jaa line mein,
Suno yaaro suno ke raaz gehra,
Kishton mein kya jeena?
Lambi saans lo zaraa…

Muthiyon ko kasso naa,
Inhe khol do,
Dil mein kya rakhna,
Chalak Bol do,
Gunguna lo, muskura lo,
Zindagi to sikhati hai yahi,
Lehra lo, balkha lo,
Hum qaidi to nahi,
Jhoom le jhoom jhama jhooma ke jhoom,
Pairon mein ta ta thaiya tum tumake tum,
Lehron ke sang chap chap chapake cham,
Dol tu dum dum dum dumake dum,
Jhoom le jhoom zara,
Oh zara jhoom le jhoom zara,
Hooo..
Suno yaaro suno ke raaz gehra,
Kishton mein kya jeena?
Lambi saans lo zaraa…
Muthiyon ko kasso naa,
Inhe khol do,
Dil mein kya rakhna,
Chalak bol do…

[Na na na na na
Na na na na na] – 2 times

Oh jhoomo zara, yeh bhi kya hai jeena?
Oh jhoomo zara, chal ke paseena,
Oh jhoomo zara, tum ho nageena,
Jhoomo jhoomo jhoom jhoom mere sang,
Mastiyon ki kashti kholo,
Kinaro ko bye bye bolo,
Aao naa hawaon sang ho lo,
Dolo dolo dolo dolo mere sang..

Aye bachchu tu sun le,
Mere dil ka yeh order,
Ab khool ke jee le tu,
Koi seema naa border,
Halka sa nasha hai,
Masti ki wine mein,
Jeene ka hai chaska,
To aa jaa line mein..

[Jhoom le jhoom jhama jhooma ke jhoom,
Pairon mein ta ta thaiya tum tumake tum,
Lehron ke sang chap chap chapake cham,
Dol tu dum dum dum dumake dum] – 2 times
[Jhoom le jhoom zara,
Oh zara jhoom le jhoom zara] – 2 times