Wednesday, August 31, 2011

Senorita - Zindagi Na Milegi Dobara

Hey Guys!
The lady is singing in Spanish!
And the lyrics are as follows:


quién eres tú
dónde has estado
he removido cielo y tierra y no te encontré
y llegas hoy
tan de repente
y das sentido a toda mi vida con tu querer

na main samjha…
na main jaana…
jo bhi tumne mujhse kaha hai
señorita
magar fir bhi,
na jaane kyun,
mujhe sun ke achha laga hai
señorita

no desvíes la mirada
quédate cerca de mí

mujhko baahon mein tum ghero
samjhi na
señorita
chaahat ke do pal bhi mil paaye
duniya mein ye bhi kum hai kya
do pal ko to aao kho jaayein
bhoolein hum hota ghum hai kya
señorita
suno suno, señorita
kehte hain hum kya

jamás podré
interpretar
el sentado de las palabras que me dedicas
perl el calor
de tu mirar
me hace sentir combo la más bella señorita

nigaahon ne, nigaahon se
kahi armaano ki dastaan hai
señorita
ke chaahat ki,
mohabbat ki
saari duniya mein ek hi zubaan hai
señorita
mujhse ab nazar na phero
aao paas tum mere
mujhko baahon mein tum ghero
samjheen na
señorita
chaahat ke do pal bhi mil paaye
duniya mein ye bhi kum hai kya
do pal ko to aao kho jaayein
bhoole hum hota ghum hai kya
señorita suno suno, senorita
kehte hain hum kya
jo bhi pal beeta
hey señorita
har pal tumne hai dil jeeta
bus itni si to baat hai

no desvíes la marada
quédate cerca di mí

mujhko baahon mein tum ghero
samjhi na, señorita
chaahat ke do pal bhi mil paaye
duniya mein ye bhi kum hai kya
do pal ko to aao kho jaayein
bhoole hum hota ghum hai kya
chaahat ke do pal bhi mil paaye
duniya mein ye bhi kum hai kya
do pal ko to aao kho jaayein
bhoole hum hota ghum hai kya

Tuesday, August 30, 2011

Zindagi Na Milegi Dobara - Poems

First Poem: (Hrithik Roshan)

Pighle neelam sa behta ye sama,
neeli neeli si khamoshiyan,
na kahin hai zameen na kahin aasmaan,
sarsaraati hui tehniyaan pattiyaan,
keh raheen hai bas ek tum ho yahan,
bas main hoon,
meri saansein hain aur meri dhadkanein,
aisi gehraiyaan, aisi tanhaiyaan,
aur main… sirf main.
Apne hone par mujhko yakeen aa gaya.


Second Poem: (Abhay Deol)

Ik baat honton tak hai jo aayi nahin
Bas ankhon say hai jhaankti
Tumse kabhi, mujhse kabhi
Kuch lafz hain woh maangti
Jinko pehanke honton tak aa jaaye woh
Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh
Lekin jo yeh ik baat hai
Ahsas hi ahsas hai

Khushboo si hai jaise hawa mein tairti
Khushboo jo be-aawaaz hai
Jiska pata tumko bhi hai
Jiski khabar mujhko bhi hai
Duniya se bhi chupta nahin
Yeh jaane kaisa raaz hai



Third Poem: (Farhan Akhtar)

Jab jab dard ka baadal chaya
Jab ghum ka saya lehraya
Jab aansoo palkon tak aya
Jab yeh tanha dil ghabraya

Humne dil ko yeh samjhaya
Dil aakhir tu kyun rota hai
Duniya mein yunhi hota hai

Yeh jo gehre sannate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda ghum hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi nam hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai



The last one!

Dilon me tum apni betabiyan leke chal rahe ho,to zinda ho tum
Nazar me khwaabon ki bijliyan leke chal rahe ho,to zinda ho tum

Hawa ke jhokon ke jaise aazad rehno sekho
Tum ek dariya ke jaise lehron mein behna sekho
Hr ek lamhe se tum milo khole apni baahein
Hr ek pal ek nya sama dekhe nigahein
Jo apni ankhon mein hairanian leke chal rahe ho,to zinda ho tum
Dilon mein tum apni betabian leke chal rahe ho,to zinda ho tum

Monday, August 29, 2011

Ganesh Dheemahi - Vishwavinayaka (Shankar Mahadevan)


Hello Guys!

The song by Shankar Mahadevan -- Ganesh Dheemahi from Vishwavinayaka



Mmmmm� Mmmmm�
Pausaaaaaaa� Pausaaaaaa�


Gananayaka Ganadaivataya Ganadaksha Yadheemahi
Guna shariraya Guna Manditaya Guneshanay Dheemahi
Gunaditaya Gunadhishaya Guna pravishtaya Dhimahai
Ekadantaya Vakratundaya Gauri tanahaya yadhi mahi
Gajeshanaya Bhalchandraya shree ganeshaya dheemahi
{Ekadantaya Vakratundaya Gauri tanahaya yadhi mahi
Gajeshanaya Bhalchandraya shree ganeshaya
dheemahi}-chorus


Gaanachaturaya ganaapranaya gaanantaratmane gaanotsukhay
Gaanamattaya gannott sukha mana se
Guru pujitaya, Guru daivataya, Guru kulasthaine
Guru Vikramaya, Guiyya pravaraya Gurave guna gura ve
Gurudaitya kalakchetre, Guru dharma sada rakdhyaya
Guru putra paritratre Guru pakhand khand khaya


Geet saraya, Geet tatvaya Geet gotraya dheemahi
Gudha gulfaya, Gandha Mattaya Gojaya pradaya dheemahi
Gunaditaya Gunadhishaya Guna pravishtaya Dhimahai
Ekadantaya Vakratundaya Gauri tanahaya yadhi mahi
Gajeshanaya Bhalchandraya shree ganeshaya dheemahi
{Ekadantaya Vakratundaya Gauri tanahaya yadhi mahi
Gajeshanaya Bhalchandraya shree ganeshaya
dheemahi}-chorus
{Gandharva rajaya gandhaya Gandharva gana shravan pranaime
Gaadha anuragaya granthaya geetaya grantatarth tanmaiye gurileee
Gunavateee.. ganapatayeee..}- chorus


Granta geetaya granta geyaya grantanta ratamane
Geeta leenay geetaa shrayaya
Geetavadya vadya padave, dheya charitaya gaya gavaraya
Gandharvapri krupe gayakadhina vighra haya
Gangajala pranayavate Gauri stanamadhaya Gauri hridaya nandanaya
Gaur bhanu sukhaya Gauri ganeshwaraya


Gauri Pranyaya Gauri pravanaya Gaur bhavaya dheemahi
Ohasa hastraya gowardanaya gopa gopaya dheemahi
Gunaditaya Gunadhishaya Guna pravishtaya Dheemahi
Ekadantaya Vakratundaya Gauri tanahaya yadhi mahi
Gajeshanaya Bhalchandraya shree ganeshaya dheemahi
{Ekadantaya Vakratundaya Gauri tanahaya yadhi mahi
Gajeshanaya Bhalchandraya shree ganeshaya
dheemahi}-singer and chorus together


Pausaaaaaaa� Pausaaaaaa�
Mmmmm� Mmmmm�



Sunday, August 28, 2011

Dil Dhadakne Do - Zindagi Na Milegi Dobara

Hey hey, chalo na
Dhoondhe shehar naya
Jahaan muskurahatien hain bikhri, jahaan se gum ka mausam gaya
Jahaan meethi baatein, har ik ajnabi se ho
Bhule hum bhi jo saari fikrein
Lamha lamha khushiyan bikhrein
Idhar udhar aur yahan wahan
Jayein wahin dil kahe jahaan
Baby baby baby
Kab tak giney, hum dhadkane
Dil jaise dhadke dhadakne do
Kyun hai koi aag dabi
Shola jo bhadke bhadakne do

Hey hey, chalo na
Gaaye naye naye geet
Khel aisa kyun na koi khele, jisme sabhi ki ho jeet
Inn dino phool aur taare, koi bhi dekhta nahin
Dekhe unko deewane hoke, koi kitna bhi humko toke
Khuli hawa ho khula samaa
Jaage huye ho sab armaan
Baby baby baby
Kab tak giney, hum dhadkane
Dil jaise dhadke dhadakne do
Kyun hai koi aag dabi
Shola jo bhadke bhadakne do

Humse dil ne kahin jo baatein aao maan le
Jispe chalta nahin hai koi raah woh chale
Thodi aawargi ho, thodi thodi madhoshiyan ho baby
Hum ho tum ho, baby tell me
Kab tak giney, hum dhadkane
Dil jaise dhadke dhadakne do
Kyun hai koi aag dabi
Shola jo bhadke bhadakne do
Kab tak giney, hum dhadkane
Dil jaise dhadke dhadakne do
Kyun hai koi aag dabi
Shola jo bhadke bhadakne do
Kab tak giney, hum dhadkane
Dil jaise dhadke dhadakne do
Kyun hai koi aag dabi
Shola jo bhadke bhadakne do

Saturday, August 27, 2011

Ik Junoon (Paint it Red) - Zindagi Naa Milegi Dobara

Paint it, paint it, paint it ..

Oo aa, take the world and paint it red
Oo aa, paint it red
Oo aa, take the world and paint it red
Oo aa, paint it red
Ik junoon ik deewangi
Har taraf har taraf
Bekhudi bekhudi bekhudi
Har taraf har taraf
Kahe halke halke yeh rang jhalke jhalke
Jo kisse hain kal ke bhula de tu
Koi haule haule mere dil se bole
Kisi ka toh hone chal jaane de koi jadoo
Oo aa, take the world and paint it red
Oo aa, paint it red (cool say)
Oo aa, take the world and paint it red
Oo aa, paint it red

Ek junoon ek deewangi
Har taraf har taraf
Bekhudi bekhudi bekhudi
Har taraf har taraf

Yeh pal joh bharpoor hai jo nashe mein choor hai
Iss pal ke daaman mein hai madhoshiyan
Ab toh yeh andaaz hai haathon haathon saaz hai
Aawazo mein ghulti hai rangeeniyan
And take the world & on & on
And paint the world and na na na

Kahe halke halke yeh rang jhalke jhalke
Jo kisse hain kal ke bhula de tu
Koi haule haule mere dil se bole
Kisi ka toh hone chal jaane de koi jadoo
Oo aa, take the world and paint it red
Oo aa, paint it red
Oo aa, take the world and paint it red
Oo aa, paint it red

Oo aa, oo aa

Sab zanjeerein todh ke saare uljan chhod ke
Hum hai dil hai aur hai awaargi
Kuch din se hum log par aata hai sab ko nazar
Aaya hai jo daur hai awaargi
And take the world & on & on
And paint the world and na na na

Kahe halke halke yeh rang jhalke jhalke
Jo kisse hain kal ke bhula de tu
Koi haule haule mere dil se bole
Kisi ka toh hone chal jaane de koi jadoo
Oo aa, take the world and paint it red, oo aa, paint it red - 6 times

Friday, August 26, 2011

Khaabon ke Parindey - Zindagi Naa Milegi Dobara

Ude, khule aasaman mein khaabon ke parinday
Ude, dil ke jahaan main khaabon ke parinday
Oho, kya pata, jaayenge kahan
Khule hain jo pal, kahe yeh nazar
Lagta hai ab hai jaage hum
Fikrein jo thi, peeche reh gayi
Nikle unse aage hum
Hawa mein beh rahi hai zindagi
Yeh hum se keh rahi hai zindagi
Oho, ab toh, jo bhi ho so ho

Ude, khule aasaman mein khaabon ke parinday
Ude, dil ke jahaan main khaabon ke parinday
Oho, kya pata, jaayenge kahan
Kisi ne chua toh yeh hua
Phirte hai mehke mehke hum
Khoyi hain kahin baatein nayi
Jab hain aise behke hum
Hua hai yun ke dil pighal gaye
Bas ek pal mein hum badal gaye
Oho, ab toh, jo bhi ho so ho

Roshni mili
Ab raah mein hai ik dilkashi si barsi
Har khusi mili
Ab zindagi pe hai zindagi si barsi
Ab jeena humne seekha hai
Yaad hai kal, aaya tha woh pal
Jisme jadoo aisa tha
Hum ho gaye jaise naye
Woh pal jaane kaisa tha
Kahe yeh dil ke jaaun dil ki tu
Jahan bhi leke jaaye aarzoo
Oho, ab toh, jo bhi ho so ho, jo bhi ho so ho
Ude, jo bhi ho so ho
Ude, jo bhi ho so ho

Thursday, August 25, 2011

Der Lagi Lekin - Zindagi Naa Milegi Dobara

Der lagi lekin
Maine ab hai jeena seekh liya
Jaise bhi ho din
Maine ab hai jeena seekh liya
Ab maine
Yeh jaana hai, khushi hai kya, gumm kya
Dono hi, do pal ki hai ruttein
Na yeh thehre na rukey
Zindagi do rangon se bane
Ab roothe ab maane
Yehi toh hai, yehi toh hai, yahaan

Der lagi lekin
Maine ab hai jeena seekh liya
Aansuon ke bin
Maine ab hai jeena seekh liya
Ab maine
Yeh jaana hai kise kahoon apna
Hai koi, jo yeh mujhse keh gaya
Yeh kahan tu reh gaya
Zindagi toh hai jaise karvaan
Tu hai tanha kab yahan
Sabhi toh hai, sabhi toh hai yahaan

Koi sunaaye joh hassti muskaraati kahani
Kehta hai dil, main bhi sunu
Aansu bhi moti ho jo kisi ke nishaani
Kehta hai dil main bhi chunu
Baahein dil ki ho baahon mein chalta
Chalun yunhi raahon mein
Bus yunhi, ab yahan, kab wahan

Der lagi lekin
Maine ab hai jeena seekh liya
Aansuon ke bin
Maine ab hai jeena seekh liya

Hai koi, jo yeh mujhse keh gaya
Yeh kahan tu reh gaya
Zindagi, toh hai jaise karvaan
Tu hai tanha kab yahan
Sabhi toh hai, sabhi toh hai yahaan
(sabhi toh hai, sabhi toh hai yahaan)

Wednesday, August 24, 2011

Toh Zinda Ho Tum - Zindagi Naa Milegi Dobara

Dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho, toh zinda ho tum
Nazar mein khwaabon ki bijliyan leke chal rahe ho, toh zinda ho tum
Hawa ke jhokon ke jaise aazad rehna seekho
Tum ek dariya ke jaise lehron mein behna seekho
Har ek lamhe se tum milo khole apni baahein
Har ek pal ek naya samaa dekhe yeh nigaahein
Jo apni aankhon mein hayraniyan leke chal rahe ho, toh zinda ho tum
Dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho, toh zinda ho tum

Tuesday, August 23, 2011

Dhal Gaya Din - Humjoli

dhal gaya din ho gayi shaam jaane do jana hain - 2
abhi abhi toh aayi ho abhi abhi jana hain
dhal gaya din ho gayi shaam jaane do jana hain
abhi abhi toh aayi ho abhi abhi jana hain
dhal gaya din ho gayi shaam jaane do jana hain

sitam mere dil pe jo dhaya kasam lage usko meri jo jaaye - 2
na aaise dekho mujhe na toko zara yeh socho bura zaman hain
dhal gaya din ho gayi shaam jaane do jana hain

gujari kai saath hamne kai raaten na jaane kab khatam hogi teri baaten - 2
abhi na jaana koi tarana koi fasana abhi sunana hain
dhal gaya din ho gayi shaam jaane do jana hain

banate ho yeh roj hi bahana na jaane na dega aaj yeh deewana - 2
manaji mana tu hai deewana mera deewana bada sayana hain
dhal gaya din ho gayi shaam jaane do jana hain
abhi abhi toh aayi ho abhi abhi jana hain
dhal gaya din ho gayi shaam jaane do jana hain

Monday, August 22, 2011

Honton Se Chhulo Tum - Prem Geet

Honthon Se Chulo Tum
Meraa Git Amar Kar Do
Ban Jaao Mit Mere
Meri Prit Amar Kar Do
na Umar Ki Simaa Ho
na Janam Kaa Ho Bandhan
Jab Pyaar Kare Koi
To Dekhe Keval Man
na_Ii Rit Chalaakar Tum
Ye Rit Amar Kara Do
Honthon Se Chulo Tum
Jag ne Chhinaa Mujhase
Mujhe Jo Bhi Lagaa Pyaaraa
Sab Jitaa Kiye Mujhase
Main Har Dam Hi Haaraa
Tum Haar Ke Dil Apanaa
Meri Jit Amar Kar Do
Honthon Se Chulo Tum
Aakaash Kaa Suunaapan
Mere Tanahaa Man Men
Paayal Chhanakaati Tum
Aajaao Jivan Men
Saansen Dekar Apani
Sangit Amar Kar Do
Honthon Se Chulo Tum

Sunday, August 21, 2011

Gum Hai Kisi Ke Pyaar Mein - Raampur Ka Lakshman

Hmm hm hm hmm hmm hmm
Haan, kya kahaa?

Ghum hai kisi ke pyaar mein dil subah shaam
Par tumhe likh nahin paaon main uska naam
Haaye raam, haaye ram
Kuchh likhaa?
Haan
Kyaa likhaa?
Ghum hai kisi ke pyaar mein dil subah shaam
Par tumhe likh nahin paaon main uska naam
Haaye raam, haaye raam
Achchhaa, aage kyaa likhoon?
Aage?

Socha hai ek din main use milke
Keh daalon apne sab haal din ke
Aur kardoon jeevan uske hawale
Phir chhod de chaahe apna bana le
Main to uska re hua deewana
Ab to jaisa bhi mera ho anjaam
Ho ghum hai kisi ke pyaar mein dil subah shaam
Par tumhe likh nahin paaon main uska naam
Haaye raam, haaye raam
Likh liyaa?
Haan
Zaraa padhake to sunaao na

Chaaha hai tumne jis baawri ko
Woh bhi sajanwa chaahe tumhi ko
Naina uthaae to pyaar samjho
Palken jhukaa de to ikraar samjho
Rakhti hai kabse chupa chupa ke
Kyaa?
Apne hoton mein piya tera naam
Ho ghum hai kisi ke pyaar mein dil subah shaam
Par tumhe likh nahin paaon main uska naam
Ho ghum hai kisi ke pyaar mein dil subah shaam
Par tumhe likh nahin paaon main uska naam
Haaye raam, haaye raam

Friday, August 5, 2011

Tujhko Bhulana - Murder 2

Tujhko bhulana, Aasu na laana
Ab aa gaya...
[go away, stay away, this is our realty...]

Tujhko bhulaana, Aasu na laana, Aur muskuraana
Ab aa gaya, ab aa gaya

Yaadon se teri, daaman chhudana
Dil na dukhana, ab aa gaya, ab aa gaya
Ha...ha...

Sunn bewafa yeh, tay kar liya
Reh lenge hum tere bin

Hey ab dard bhi kya hai, humko bhala
Raat aa gayi hai, tere mere darmiyaan ka jo hai faasla
Yaadon se teri, daaman chhudana
Dil na dukhana, ab aa gaya

wooh..ho....
Dil ke makaan se tu jaa chuka
Iss mein nahin tu ab raha..Ho..

Meri duaa mein, tu ab kahan
Tu ajnabi hai, tune inn mein rehne ka hai haqq kho diya

Tujhko bhulaana, Aasu na lana na lana, aur muskuraana
Ab aa gaya....

Hey yaadon se teri, daaman chhudaana Dil na dukhana
ab aa gaya, ab aa gaya, ab aa gaya

Thursday, August 4, 2011

Aye Khuda - Murder 2

Kaisi khala yeh dil mein basi hai
Ab toh khatayein fitrat hi si hai
Main hi woh jo rehmat se gira

Aye khuda Gir gaya Gir gaya
Main jo tujhse door huaa
Lut gaya Lut gaya..
Aye khuda...aa...
Gir gaya, Gir gaya
Main jo tujh se door hua
Lut gaya, Lut gaya..

Kaisi khala yeh dil mein basi hai
Ab toh khatayein Fitrat hi si hai
Main hi woh jo rehmat se gira
Aye khuda..aa Gir gaya Gir gaya
Main jo tujhse door huaa
Lut gaya Lut gaya...
Aye khuda...aa......
Aye khuda...aa......

Itni khatayein tu lekar chala hai
Daulat hi jaise tera ab khuda
Har pal bitaaye tu jaise hawa hai
Gunaah ke saaye mein chalta raha

Samandar sa behkar tu chalta hi gaya
Ter marzi puri ki tune han har dafaa
Tu hi tera Mujrim bandeya

Aye khuda...Gir gaya, Gir gaya
Main jo tujhse door hua
Lut gaya, Lut gaya..

Kyun judtaa iss jahan se tu
Ik din yeh guzar hi jayega
Kitna bhi samet le yahan
Muthi se phisal hi jayega
Har shakhsh hai dhool se bhara
Aur phir usme hi jaa mila
Yeh haqiqat hai tu jaan le
Kyun sach se mooh hai pherta (Aaa......)

Chahe jo bhi hasrat poori kar le
Rukegi na fitrat yeh samajh le
Mit jayegi teri hasti
Bar na payega Yeh dil bandayaa

Aye khuda...Gir gaya Gir gaya
Main jo tujhse door hua
Lut gaya Lut gaya..

Gar tu soche tu hai gira
Mere haath ko thaam, Uth zara.!

Tere dil ke dar pe hoon khada
Mujhko apna le tu zara
Tu kahe tu hai saaye se ghira
Teri raahon ka main noor hoon
Tere gunaha ko khud pe le liya
Meri nazaron mein bekasoor tu (Aaa......)

Aisa koi manzar tu dikh la de
Mujhe koi Shakhs se mila de
Aisa koi dile se
Tu sunwa de ke zakham koi (Ke zakham koi)
Use na mila (Use na mila)
Aye khuda.. Gir gaya Gir gaya…
Main jo tujhse door hua
Lut gaya Lut gaya..
Aaa...Aa..aa......

Wednesday, August 3, 2011

Phir Mohabbat - Murder 2

Jab jab tere paas main aaya, Ik sukoon mila
Jise main tha bhoolta aaya, Wo wajood mila
Jab aaye mausam gham ke, Tujhe yaad kiya
Ho...

Jab sehme tanhapan se, Tujhe yaad kiya
Hmm..dil... Sambhal ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu
Dil yahin ruk jaa zara
Phir mohabbat karne chala hai tu

Aisa kyun kar hua janu naa
Main janu naa o..o..
Dil sambhal ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu
Dil yahin ruk ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu

Jis raah pe, hai ghar tera
Aksar wahan se, haan main hoon guzra
shayad yahin dil mein raha
Tu mujh ko mil jaye, Kya pata...

Kya hai yeh silsala
Janu naa, Main janu naa
Dil sambhal ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu
Dil yahin ruk ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu

Kuch bhi nahi Jab darmayaan
Phir kyun hai dil, tere hi khwaab bunta
Chaha ki de, tujhko bhula
Par yeh bhi mumkin ho na sakaa...
Kya hai yeh maamla, Janu naa
Main janu naa

Dil sambhal ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu
Dil yahin ruk ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu
Dil sambhal ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu

Tuesday, August 2, 2011

Aa Zara - Murder 2

Yeh raat ruk jaye, baat tham jaye, teri baahon mein
Khwaishein jagi hain pyase pyase labhon pe
Khud ko jala doon, teri aanhon mein
Aagosh mein aaj mere samaa ja
Jaane kya hona hai kal
Aa zara kareeb se, jo pal mile naseeb se
Aa ja zara kareeb se, jo pal mile naseeb se
Jee le.....

Yeh jahaan saara bhool kar
Jismo ke saaye tale dheeme dheeme chale raat bhar
Pal do pal hum hai humsafar
Thay abhi dono yahaan honge subah jaane kahan kya khabar
Aa ja zara khud ko mujh mein milaa ja
Jaane kya hona hai kal
Aa zara kareeb se, jo pal mile naseeb se
Aa ja zara kareeb se, jo pal mile naseeb se, jee le

Khwaab hoon main toh makhmali
Palkon mein leja mujhe maine diya mauka tujhe ajnabi
Hosh mein aaye na abhi
Ik dooje mein hi kahin khoyi rahe teri meri zindagi
Khamoshiyan dhadkano ki suna ja
Jaane kya hona hai kal

Aa zara kareeb se, jo pal mile naseeb se, aa ja
Jo pal mile naseeb se... Jee le..!

Raat ruk jaaye, teri baahon mein
Aagosh mein aaj mere sama ja
Jaane kya hona hai kal
Aa zara kareeb se, jo pal mile naseeb se
Aa zara kareeb se, jo pal mile naseeb se, jee le

Monday, August 1, 2011

Haal e Dil - Murder 2

Hey kaash, kaash yun hota
Har shaam saath tu hota
Chup-chap dil na yun rota
Har shaam saath tu hota

Guzara ho tere bin guzara ab muskil hai lagta
Nazara ho tera hi nazara ab har din hai lagta

Hale dil tujhko sunata
Dil agar yeh bol pata
Bakhuda tujhko hai jata jaan

Tere sang jo pal bitaata
Waqt se main woh maang laata
Yaad karke muskuraata haan
Woo oo ..

Tu meri raah ka sitara.
Tere bina hoon main awara.
Jab bhi tanhai ne sataya.
Tujhko besaakhta pukara.

Chaahat hai meri la fanaa.
Par meri jaan dil, main hoon rakhta haan.

Haal e dil tujhko sunata.
Dil agar yeh bol pata.
Bakhuda tujhko hai jata jaan.

Tere sang jo pal bitata.
Waqt se main woh maang lata.
Yaad karke muskuraata haan.
Woo....

You're the one
I love whats meant to be.
I know you feel it too , I look at you.

Khwaabon ka kab tak loon sahara.
Ab toh tu aaja khudara.
Meri yeh dono paagal aankhein.
Har pal maange tera nazara.
Aa samjaun inko kis tarah.
Inpe mera bas nahin chalta haan.

Haal e dil tujhko sunata.
Dil agar yeh bol pata.
Bakhuda tujhko hai jata jaan.

Tere sang jo pal bitata.
Waqt se main woh maang lata.
Yaad karke muskuraata haan.
Woo oo...