Wednesday, October 5, 2011

Mehfuz - Euphoria

Zindagi hai dhuan to kya
Bujh gayi har subah to kya
Rootha mujhse khuda to kya
Ho gaye hum juda to kya
Faasle the hazaaron darmiyan
Waqt ke the hazaaron imtehan
Phir bhi ban ke nishan
Tere hothon ke
Kisi kone mein
Hasi ki tarah
Main mehfuz hoon
Teri aankhon ke
Chipe dard mein
Aansu ki tarah
Main mehfuz hoon
Mehfuz hu

Bewajah har wajah to kya
Begunahi hai gunah to kya
Beasar hai dua to kya
Ho gaye hum juda to kya
Raaz gehre hazaaron bepanah
Lafz thehare hazaaron bezubaan
Phir bhi ban ke nishan
Tere honthe ke
Kisi kone mein
Hasi ki tarah
Main mehfuz hoon
Tere gesu ke mude pannon pe
Yaadon ki tarah

Mehfuz hoon
Teri aankhon mein
Mehfuz hoon
Teri yaadon mein
Mehfuz hoon
Teri baaton mein
Mehfuz hoon
Tere baalon mein

Faasle the hazaaron darmiyaan
Waqt ki thi hazaaron aandhiyan
Phir bhi ban ke nishan
Tere hothon ke
Kisi kone mein
Hasi ke tarah
Main mehfuz hoon
Tere kaandhe ke
Chipe til mein
Vaadon ki tarah
Mehfuz hoon

Tere hothon ke
Kisi kone mein
Hasi ki tarah
Main mehfuz hoon
Teri aankhon ke
Chipe dard mein
Aansu ki tarah

No comments: