Friday, September 9, 2011

Zindagi Ek Safar Hai Suhana - Andaz

Zindagi ek safar hai suhana
Yahaan kal kya ho kisne jaana
Zindagi ek safar hai suhana
Yahaan kal kya ho kisne jaana

Chaand taaron se chalna hai aage
Aasmano se badhna hai aage
Arre chaand taaron se chalna hai aage
Aasmano se badhna hai aage
Peechhe reh jaayga ye zamaana
Yahaan kal kya ho kisne jaana

Haan Zindagi ek safar hai suhana
Yahaan kal kya ho kisne jaana

Haste gaate jahaan se gujar
Duniya ki tu parwaah na kar
Arre Haste gaate jahaan se gujar
Duniya ki tu parwaah na kar
Muskuraate hue din bitaana
Yahaan kal kya ho kisne jaana

Haan Zindagi ek safar hai suhana
Yahaan kal kya ho kisne jaana

Maut aani hai aayegi ek din
Jaan Jaani hai jaayegi ek din
Arre maut aani hai aayegi ek din
Jaan Jaani hai jaayegi ek din
Aisi baaton se kya ghabrana
Yahaan kal kya ho kisne jaana

Haan Zindagi ek safar hai suhana
Yahaan kal kya ho kisne jaana

No comments: