Showing posts with label KK. Show all posts
Showing posts with label KK. Show all posts

Friday, March 9, 2012

Kahaani - Kahaani

Chup rehkar bhi yeh
Sab kuch kehti hai
Sab kuch kehkar bhi
Chup hi rehti hai
Kabhi aankhon se karke ishaara
Kabhi baahon ka deke sahara
Mera inn raahon se hai rishta koi
Anjaana sa purana kissa koi
Inse jo poocho toh kahengi, yeh meri kahaani

Taxi ke bhawre hai gaa rahe
Kitni zameenay hai yeh jaa rahe
Manzil kahan hai, na kisi ko hai pata
Tran ki ghanti ishaaron mein
Kisse kisi ke chupa rahi hai
Dil se suno toh
Yeh sab kuch meri bata
Mera inn raahon se hai rishta koi
Anjaana sa purana kissa koi
Inse jo poocho toh kahengi, yeh meri kahaani

Sadkon par iski, sapne chalte hai
Sau kho jaate hai, do sach bante hai
Yehi raahein, kabhi zanjeerein
Kabhi haathon ki yeh lakeerien
Mera inn raahon se hai rishta koi (rishta koi)
Anjaana sa purana kissa koi (kissa)
Inse jo poocho toh kahengi, yeh meri kahaani

Wednesday, February 1, 2012

Sach Keh Raha Hai Deewana - Rehna Hai Tere Dil Mein

(Sach keh raha hai deewana dil
Dil na kisi se lagaana) - 2
Jhoothe hai yaar ke vaade saare
Jhoothi hai pyaar ki kasmein
Maine har lamha jisse chaaha, jisse pooja
Ussi ne yaaron mera dil
Toda toda, tanha tanha chhoda
Sach keh raha hai deewana dil
Dil na kisi se lagaana
Jhoothe hai yaar ke vaade saare
Jhoothi hai pyaar ki kasmein
Maine har lamha jisse chaaha, jisse pooja
Ussi ne yaaron mera dil
Toda toda, tanha tanha chhoda
Mausam mausam tha suhaana bada
Mausam mausam maine dekha usse
Hua main paagal bas pal bhar mein, aah
Mausam mausam tha suhaana bada
Mausam mausam maine dekha usse
Hua main paagal bas pal bhar mein
Aake basi hai voh mere mann mein
Uski kami hai ab jeevan mein
Voh door hai meri nazron se
Kyoon usse main chaahoon
Oh, sach keh raha hai deewana dil
Dil na kisi se lagaana
Jhoothe hai yaar ke vaade saare
Jhoothi hai pyaar ki kasmein
Maine har lamha jisse chaaha, jisse pooja
Ussi ne yaaron mera dil
Toda toda, tanha tanha chhoda
Sundar sundar voh haseena badi
Sundar sundar main to khone laga
Uske nashe mein bin piye baheka, aah
Sundar sundar voh haseena badi
Sundar sundar main to khone laga
Uske nashe mein bin piye baheka
Ek din usse bhoola doonga main
Uske nishaan mita doonga main
Chaahoonga na main us patthar ko
Jaa usse bata de
(La lai lai lai lai la le
La lai lai lai lai la) - 2
Maine har lamha jisse chaaha, jisse pooja
Ussi ne yaaron mera dil
Toda toda, tanha tanha chhoda

Monday, February 14, 2011

Tu Hi Meri Shab Hai - Gangster

Hi Guys!


A beautiful Song by KK from the film Gangster.



Tu hi meri shab hai subha hai tu hi din hai mera
Tu hi mera rab hai jahaan hai tu hi meri duniya
Tu waqt mere liye main hoon tera lamha
Kaise rahega bhala hoke tu mujhse judaa
o o o o ho ho
o o o o o o
Tu hi meri shab hai subha hai tu hi din hai mera
Tu hi mera rab hai jahaan hai tu hi meri duniya
Tu waqt mere liye main hoon tera lamha
Kaise rahega bhala hoke tu mujhse judaa
o o o o ho ho
o o o o o o

Aankhon se padhke tujhe dil pe maine likha
Tu ban gaya hai mere jeene ki ek wajah
Ho aankhon se padhke tujhe dil pe maine likha
Tu ban gaya hai mere jeene ki ek wajah
Teri hasi teri adaa auron se hai bilkul judaa
o o o o ho ho 
o o o o o o

Aankhen teri shabnami chehra tera aaina
Tu hai udaasi bhari koi haseen dastaan
Ho aankhen teri shabnami chehra tera aaina
Tu hai udaasi bhari koi haseen dastaan
Dil mein hai kya kuchh toh bata 
Kyon hai bhala khud se khafa
o o o o ho ho 
o o o o o o

Tu hi meri shab hai subha hai tu hi din hai mera
Tu hi mera rab hai jahaan hai tu hi meri duniya
Tu waqt mere liye main hoon tera lamha
Kaise rahega bhala hoke tu mujhse judaa
o o o o ho ho
o o o o o o...

Monday, December 13, 2010

Koi Kahe - Dil Chahta Hai

Koi kahe, kehta rahe kitna bhi humko deewana - 2
Hum logon ki thokar mein hai yeh zamaana
Jab saaz hai, aawaaz hai, phir kis liye hichkichaana - 2
Oh, gaayenge hum apne dilon ka taraana
Bigade duniya, bigadne bhi do
Jhagade duniya, jhagadne bhi do
Lade jo duniya, ladne bhi do, hum apni dhun gaao
Duniya roothe, roothne do
Bandhan toote, tootne do
Koi chhoote, chhootne do, na ghabraao
Hum hain naye, andaaz kyoon ho puraana - 2

Aankhon mein hain bijliyaan, saanson mein toofaan hai
Darr kya hai aur haar kya, hum isse anjaan hai
Hamaare liye hi to hai aasmaan aur zameen
Sitaarein bhi hum tod lenge, hamein hai yakeen
Ambar se hai aage hamaara thikaana
Hum hain naye, andaaz kyoon ho puraana

Sapnon ka jo des hai, haan hum vahin hain pale
Thode se dil phenk hai, thode se hai mann chale
Jahan bhi kahe apna jaadu dikhaate rahe
Mohabbat haseenon ko aksar sikhaate rahe
Aaye hamein dil aur neendein churaana
Hum hain naye, andaaz kyoon ho puraana
Koi kahe, kehta rahe kitna bhi humko deewana
Koi, kehta, kitna bhi humko deewana
Oh, hum logon ki thokar mein hai yeh zamaana
Oh, jab saaz hai, aawaaz hai, phir kis liye hichkichaana
Jab saaz hai, aawaaz hai, phir kis liye hichkichaana
Oh, gaayenge hum apne dilon ka taraana
Bigade duniya, bigadne bhi do
Jhagade duniya, jhagadne bhi do
Lade jo duniya, ladne bhi do, hum apni dhun gaao
Duniya roothe, roothne do
Bandhan toote, tootne do
Koi chhoote, chhootne do, na ghabraao
Hum hain naye, andaaz kyoon ho puraana
Oh, hum hain naye, andaaz kyoon ho puraana