Showing posts with label Kishore Kumar. Show all posts
Showing posts with label Kishore Kumar. Show all posts

Wednesday, September 21, 2011

Tera Mujhse Hai Pehle ka Naata Koi - Aa Gale Lag Ja

Tera mujhse Hai Pehle Ka Naata Koi
Yoonhi Nahin Dil Lubhaata Koi
Mera Tujhse Hai Pehle Ka Naata Koi
Yoonhi Nahin Dil Lubhaata Koi

Jaane Tu Ya Jaane Na
Maane Tu Ya Maane Na
Tera mujhse Hai Pehle Ka Naata Koi
Yoonhi Nahin Dil Lubhaata Koi

Dhuaan Dhuaan Tha Vo Samaan
Yahan Vahan Jaane Kahan
Tu Aur Main Kahin Milay Thay Pehle
Dekha Tujhe To Dil Ne Kaha

Tera mujhse Hai Pehle Ka Naata Koi
Yoonhi Nahin Dil Lubhaata Koi
Jaane Tu Ya Jaane Na
Maane Tu Ya Maane Na


Tu Bhi Rahi Mere Liye
Main Bhi Raha Tere Liye
Pehle Bhi Main Tujhko Baahon Mein Leke
Jhooma Kiya Aur Jhooma Kiya

Tera mujhse Hai Pehle Ka Naata Koi
Yoonhi Nahin Dil Lubhaata Koi
Jaane Tu Ya Jaane Na
Maane Tu Ya Maane Na

Dekho Abhi Khona Nahin
Kabhi Juda Hona Nahin
Ab Khel Mein Yoohin Rahenge Hum Dono
Vaada Raha Ye Is Shaam Ka

Tera mujhse Hai Pehle Ka Naata Koi
Yoonhi Nahin Dil Lubhaata Koi
Jaane Tu Ya Jaane Na
Maane Tu Ya Maane Na

Monday, September 19, 2011

Khaike Paan Banaras wala - Don

Arrey bhang ka rang jamaa ho chakaa chak
Phir lo paan chabaay
Arey aisa jhatka, lage jiya pe
Punar janam hoi jaay

O khaike paan Banaras wala
O khaike paan Banaras wala
Khul jaaye band akal kaa taala
O khaike paan Banaras wala
Khul jaaye band akal kaa taala

Phir to aisa kare kamaal
Seedhi kar de sabki chaal
O chora Ganga kinare wala
O chora Ganga kinare wala

O khaike paan Banaras wala
Khul jaaye band akal kaa taala

Arey raam duhaai
Kaise chakkar mein pad gaya hai, hai, hai
Kahaan taang fasaai
Main to sooli pe chadh gaya hai, hai

Kaisa seedha saadha
Main kaisa bhola bhala haan, haan
Arey, kaisa seedha seedha
Main kaisa bhola bhala
Jaane kaun ghadi mein
Pad gaya padhe likhon se paala

Meethi churi se
Meethi churi se hua halaal
Chora ganga kinare wala
O chora ganga kinare wala

O khaike paan Banaras wala
Khul jaaye band akal kaa taala

Ek kanyaa kunwaari
Hamari soorat pe mar gayi hai, hai, hai
Ek meethi katari
Hamare dil mein utar gayi hai, hai

Kaisi gori, gori o teekhi
Teekhi chhori, waah, waah
Arrey, kaisi gori
Gori woh theekhi theeki chhori

Karke jora jori
Kar gayi hamare dil ki chori

Mili chori to
Mili chori to hua nihaal
Chora Ganga kinare wala
O chora Ganga kinare wala

O khaike paan Banaras wala
Khul jaaye band akal kaa taala
O khaike paan Banaras wala
Khul jaaye band akal kaa taala

Phir to aisa kare kamaal
Seedhi kar de sabki chaal
O chora Ganga kinaare wala
O chora Ganga kinaare wala
O chora Ganga kinaare wala

Sunday, September 18, 2011

Chookar Mere Manko - Yaarana

Chookar mere man ko
Kiya tuney kya ishara

Chookar mere man ko
Kiya tuney kya ishara
Badla yeh mausam
Lagey pyara jag saara

Chookar mere man ko
Kiya tuney kya ishara
Badla yeh mausam
Lagey pyara jag saara
Chookar mere man ko
Kiya tuney kya ishara

Tu jo kahe jeevan bhar
Tere liye main gaaoon
Tere liye main gaaoon
Geet tere bolon pe

Likhta chala jaaoon
Likhta chala jaaoon
Mere geeton mein
Tujhe dhoonde jag saara

Chookar mere man ko
Kiya tuney kya ishara
Badla yeh mausam
Lagey pyara jag saara
Chookar mere man ko
Kiya tuney kya ishara

Aaja tera aanchal yeh
Pyaar se main bhar doon
Pyaar se main bhar doon
Khushiyan jahan bhar ki

Tujhko nazar kar doon
Tujhko nazar kar doon
Tu hi mera jeevan
Tu hi jeene ka sahara

Chookar mere man ko
Kiya tuney kya ishara
Badla yeh mausam
Lagey pyara jag saara
Chookar mere man ko
Kiya tuney kya ishara

Saturday, September 17, 2011

Rote Hue - Muqaddar ka Sikander

Rote hue aate hain sab
Rote hue aate hain sab
Hasta hua jo jayega
Woh muqaddar ka sikander
Woh muqaddar ka sikander
Jaaneman kahlaayega

Rote hue aate hain sab
Hasta hua jo jayega

Woh Sikander kya tha
Jisne zulm se jeeta jahaan
Woh Sikander kya tha
Jisne zulm se jeeta jahaan

Pyaar se jite dilon ko
Woh jhuka de aasmaan
Jo sitaaron par
Kahani pyaar ki likh jayegaa

Woh muqaddar ka sikander
Woh muqaddar ka sikander
Jaaneman kahlaayega

Rote hue aate hain sab
Hasta hua jo jayega

Zindagi toh bewafaa hai
Ek din thukrayegi
Maut mehbooba hai
Apne saath lekar jaayegi
Marke jeenay ki adaa
Joh duniya ko sikhlaayega

Woh muqaddar ka sikander
Woh muqaddar ka sikander
Jaaneman kahlaayega

Rote hue aate hain sab
Hasta hua jo jayega

Hamne maana yeh zamaana
Dard ki jaagir hai
Har kadam par aasuon ki
Ek nayee zanjeer hai
Saare gam par
Jo khushi ke geet gaata jayega

Woh muqaddar ka sikander
Woh muqaddar ka sikander
Jaaneman kahlaayega

Rote hue aate hain sab
Hasta hua jo jayega
Woh muqaddar ka sikander
Jaaneman kahlaayega
Jaaneman kahlayega
Jaaneman kahlayega

Friday, September 16, 2011

Ek Ajnabi Haseena se - Ajnabee

Ek ajnabi haseena se
Yun mulakaat ho gayi
Phir kya hua yeh na poocho
Kuchh aisi baat ho gayi
Ek ajnabi haseena se
Yun mulakaat ho gayi

Woh achanak aa gayi
Yun nazar ke saamne
Jaise nikal aaya ghata se chaand
Chehre pe jhulfein bhikri hui thi
Din mein raat ho gayi

Ek ajnabi haseena se
Yun mulakaat ho gayi

Jaaneman jaanejigar
Hota main shaayar agar
Kehta gazal se teri adaayon par
Jaaneman jaanejigar
Hota main shaayar agar
Kehta gazal se teri adaayon par

Maine yeh kaha toh
Muhjse khafa ho jaanehaya ho gayi
Ek ajnabi haseena se
Yun mulakaat ho gayi

Khubsoorat baat yeh
Chaar pal ka saath yeh
Saari umar mujhko rahega yehga yaad
Khubsoorat baat yeh
Chaar pal ka saath yeh
Saari umar mujhko rahega yehga yaad

Main akela thha magar
Ban gayi woh hamsafar
Woh mere saath ho gayi

Ek ajnabi haseena se
Yun mulakaat ho gayi
Phir kya hua yeh na poocho
kuch aisi baat ho gayi
Ek ajnabi haseena se
Yun mulakaat ho gayi

Thursday, September 15, 2011

Mere Dil Mein Aaj Kya Hai - Daag

Mere dil mein aaj kya hai
Tu kahe toh main bata doon
Teri zulf phir sawaaroon
Teri maang phir sajadoon
Mere dil mein aaj kya hai
Tu kahe toh main bata doon

Mujhe devta banaakar
Teri chahton ne pooja
Mujhe devta banaakar
Teri chahton ne pooja

Mera pyaar keh raha hai
Main tujhe khuda banadoon
Mera pyaar keh raha hai
main tujhe khuda banadoon
Mere dil mein aaj kya hai
Tu kahe toh main bata doon

Koi dhoondne bhi aaye
Toh hame na dhoond na paye
Koi dhoondne bhi aaye
Toh hame na dhoond na paye

Tu mujhe kahin chhupa de
Mein tujhe kahin chhupa doon
Tu mujhe kahin chhupa de
Mein tujhe kahin chhupa doon
Mere dil mein aaj kya hai
Tu kahe toh main bata doon

Mere baazuon mein aakar
Tera dard chain paaye
Mere baazuon mein aakar
Tera dard chain paaye

Tere gesuon main chhupkar
Main jahaan ke gham bhula doon
Tere gesuon main chhupkar
Main jahaan ke gham bhula doon

Teri zulf phir sawaaroon
Teri maang phir sajadoon
Mere dil mein aaj kya hai
Tu kahe toh main bata doon

Wednesday, September 14, 2011

Mere Sapnon Ki Rani - Aradhna

Mere sapnon ki rani kab aayegi tu
Aayi rut mastaani kab aayegi tu
Beeti jaaye zindagaani kab aayegi tu
Chali aa, tu chali aa

Mere sapnon ki rani kab aayegi tu
Aayi rut mastaani kab aayegi tu
Beeti jaaye zindagaani kab aayegi tu
Chali aa, haan tu chali aa

Pyaar ki galiyaan, baagon ki kaliyaan
Sab rang raliyaan poochh rahi hain
Pyaar ki galiyaan, baagon ki kaliyaan
Sab rang raliyaan poochh rahi hain
Geet panghat pe kis din gaayegi tu

Mere sapnon ki rani kab aayegi tu
Aayi rut mastaani kab aayegi tu
Beeti jaaye zindagaani kab aayegi tu
Chali aa, tu chali aa

Phool si khilke, paas aa dil ke
Door se milke chain na aaye
Phool si khilke, paas aa dil ke
Door se milke chain na aaye
Aur kab tak mujhe tadpaayegi tu

Mere sapnon ki rani kab aayegi tu
Aayi rut mastaani kab aayegi tu
Beeti jaaye zindagaani kab aayegi tu
Chali aa, tu chali aa

Kya hai bharosa aashiq dil ka
Aur kisi pe yeh aa jaaye
Kya hai bharosa aashiq dil ka
Aur kisi pe yeh aa jaaye
Aa gaya to bahut pachtaayegi tu

Mere sapnon ki rani kab aayegi tu
Aayi rut mastaani kab aayegi tu
Beeti jaaye zindagaani kab aayegi tu
Chali aa, haan tu chali aa

Chali aa, tu chali aa
Chali aa, haan tu chali aa

Tuesday, September 13, 2011

Chala Jaata Hoon - Mere Jeevan Saathi

Chalaa jaataa hoo kisee kee dhoon me
Dhadakate dil ke taraane liye
Chalaa jaataa hoo kisee kee dhoon me
Dhadakate dil ke taraane liye

Milan kee mastee bharee aakhon me
Hajaaro sapane suhaane liye
Oh, chalaa jaataa hoo kisee kee dhoon me
Dhadakate dil ke taraane liye

Ye mastee ke najaare hai
To ayese mein sanbhalanaa kaisaa meree kasam
Jo laharaatee dagareeyaa ho
To fir kyo naa chaloo main bahakaa, bahakaa re

Mere jeewan mein ye shaam aayee hai
Mohabbat waale jamaane liye
Oh, chalaa jaataa hoo kisee kee dhoon me
Dhadakate dil ke taraane liye

Wo aalam bhee ajab hogaa
Wo jab mere kareeb aayegee meree kasam
Kabhee baiyyaa chhudaa legee
Kabhee has ke gale se lag jaayegee haay

Meree baahon mein machal jaayegee
Wo sachche zoothhe bahaane liye
Oh, chalaa jaataa hoo kisee kee dhoon me
Dhadakate dil ke taraane liye

Bahaaro me, najaaro me najar daaloo
To ayesaa laage meree kasam
Wo naino mein bhare kaajal
Ghooghant khole khadee hain mere aage re

Sharam se bozal zookee palakon me
Jawaan raaton ke fasaane liye
Ho, chalaa jaataa hoo kisee kee dhoon me
Dhadakate dil ke taraane liye

Milan kee mastee bharee aakhon me
Hajaaro sapane suhaane liye
Oh, chalaa jaataa hoo kisee kee dhoon me
Dhadakate dil ke taraane liye

Monday, September 12, 2011

Chingari Koi Bhadke - Amar Prem

Chingari koi bhadke, to saawan usse bujhaaye
Saawan jo agan lagaaye, usse kaun buzaaye?
Pathazad jo baag ujaade, wo baag bahaar khilaaye
Jo baag bahaar mein ujade, usse kaun khilaaye?

Hum se mat poochho kaise mandir toota sapno ka
Hum se mat poochho kaise mandir toota sapno ka
Logon kee baat naheen hai ye kissa hain apano ka
Logon kee baat naheen hai ye kissa hain apano ka
Koi dushman thhes lagaye, to meet jiyaa bahalaye
Manmeet jo ghaav lagaye, use kaun mitaye?
Hoo usse kaun mitaye?

Naa jaane kya ho jaata jaane hum kyaa kar jaate
Naa jaane kya ho jaata jaane hum kyaa kar jaate
Peete hain to zinda hai naa pite to mar jaate
Duniya jo pyaasa rakhe, to madira pyaas bujhaye
Madira jo pyaas lagaye, usse kaun bujaye?
Hoo usse kaun bhujaye?

Maana toofaan ke aage naheen chalataa jor kisi ka
Maana toofaan ke aage naheen chalataa jor kisi ka
Maujon kaa dosh naheen hai, ye dosh hain aur kisi ka
Mazadhaar mein naiyyaa dole, to maanzi paar lagaye
Maanjhi jo naaw dooboye use kaun bachaye?
Hoo usse kaun Bachaaye?

Chingaari hmmmm..

Saturday, September 10, 2011

Agar Tum Na Hote - Agar Tum Na Hote

Hamein aur jeene ki chaahat na hoti
Hamein aur jeene ki chaahat na hoti
Agar tum na hote, agar tum na hote
Hamein aur jeene ki chaahat na hoti
Agar tum na hote, agar tum na hote

Tumhen dekhke to lagta hai aise
Bahaaron ka mausam aaya ho jaise
Tumhen dekhke to lagta hai aise
Bahaaron ka mausam aaya ho jaise

Dikhaayi na deti andheron mein jyoti
Agar tum na hote, agar tum na hote
Hamein aur jeene ki chaahat na hoti
Agar tum na hote, agar tum na hote

Hamein jo tumhaara sahaara na miltaa
Bhanvar mein hi rehte kinaara na miltaa
Hamein jo tumhaara sahaara na miltaa
Bhanvar mein hi rehte kinaara na miltaa

Kinaare pe bhi to leher aa duboti
Agar tum na hote, agar tum na hote
Hamein aur jeene ki chaahat na hoti
Agar tum na hote, agar tum na hote

Friday, September 9, 2011

Kuch Toh Log Kahenge - Amar Prem



Kuch to log kahenge
Logon ka kaam hai kehna
Chodo bekaar ki baaton mein
Kahin beet na jaaye raina

Kuch to log kahenge
Logon ka kaam hai kehna

Kucch reet jagat ki aisi hai
Har ek suboh ki shaam hui
Kucch reet jagat ki aisi hai
Har ek suboh ki shaam hui

Tu kaun hai tera naam hai kya
Seeta bhi yahaan badnaam hui
Phir kyon sansaar ki baaton se
Bheeg gaye tere naina

Kucch to log kahenge
Logon ka kaam hai kehna

Hamko jo taane dete hein
Ham khoy hein in rangraliyon mein
Hamko jo taane dete hein
Ham khoy hein in rangraliyon mein

Hamne bhi unko chup chup kar
Aate dekha in galiyon mein
Yeh sach hai jhoothi baat nahin
Tum bolo yeh sach hai naa

Kuch to log kahenge
Logon ka kaam hai kehna
Chodo bekaar ki baaton mein
Kahin beet na jaaye raina aaa
Kuch to log kahenge
Logon ka kaam hai kehna

Zindagi Ek Safar Hai Suhana - Andaz

Zindagi ek safar hai suhana
Yahaan kal kya ho kisne jaana
Zindagi ek safar hai suhana
Yahaan kal kya ho kisne jaana

Chaand taaron se chalna hai aage
Aasmano se badhna hai aage
Arre chaand taaron se chalna hai aage
Aasmano se badhna hai aage
Peechhe reh jaayga ye zamaana
Yahaan kal kya ho kisne jaana

Haan Zindagi ek safar hai suhana
Yahaan kal kya ho kisne jaana

Haste gaate jahaan se gujar
Duniya ki tu parwaah na kar
Arre Haste gaate jahaan se gujar
Duniya ki tu parwaah na kar
Muskuraate hue din bitaana
Yahaan kal kya ho kisne jaana

Haan Zindagi ek safar hai suhana
Yahaan kal kya ho kisne jaana

Maut aani hai aayegi ek din
Jaan Jaani hai jaayegi ek din
Arre maut aani hai aayegi ek din
Jaan Jaani hai jaayegi ek din
Aisi baaton se kya ghabrana
Yahaan kal kya ho kisne jaana

Haan Zindagi ek safar hai suhana
Yahaan kal kya ho kisne jaana

Thursday, September 8, 2011

Pyaar Deewana Hota Hai - Kati Patang

Pyaar deewana hota hai mastana hota hai
Har khushi se har gham se begana hota hai
Pyaar deewana hota hai mastana hota hai
Har khushi se har gham se begana hota hai

Shama kahe parwaane se pare chala jaa
Meri tarah jal jaayega yahaan nahi aa
Shama kahe parwaane se pare chala jaa
Meri tarah jal jaayega yahaan nahi aa

Woh nahi sunta usko jal jaana hota hai
Har khushi se har gham se begana hota hai
Pyaar deewana hota hai mastana hota hai
Har khushi se har gham se begana hota hai

Rahe koi sau pardon mein darre sharam se
Nazar aji laakh chhupaaye koi sanam se
Aa hi jaata hai jispe dil aana hota hai
Har khushi se har gham se begana hota hai

Pyaar deewana hota hai mastana hota hai
Har khushi se har gham se begana hota hai

Sunoo kisi shaayar ne yeh kaha bahut khoob
Manaa karey duniya lekin mere mehboob
Sunoo kisi shaayar ne yeh kaha bahut khoob
Manaa karey duniya lekin mere mehboob
Woh chhalak jaata hai jo paimaana hota hai
Har khushi se har gham se begana hota hai

Pyaar deewana hota hai mastana hota hai
Har khushi se har gham se begana hota hai

Wednesday, September 7, 2011

Yeh Jo Mohabbat Hai - Kati Patang

Ye jo mohabbat hai, ye unka hai kaam
Arey mehboob ka jo, bas lete huye naam
Mar jaayen, mit jaayen, ho jaayennn Badnaam

Rehne do chodo bhi jaane do yaar
Hum na karenge pyaar
Rehne do chodo bhi jaane do yaar
Hum na karenge pyaar

Toote agar saagar naya saagar koi lele
Mere khuda dil se koi kisi ke na khele
Toote agar saagar naya saagar koi lele
Mere khuda dil se koi kisi ke na khele
Dil toot jaaye toh kya ho anjaam

Ye jo mohabbat hai, ye unka hai kaam
Arey mehboob ka jo, bas lete huye naam
Mar jaayen, mit jaayen, ho jaayen Badnaam

Rehne do chodo bhi jaane do yaar
Hum na karenge pyaar
Rehne do chodo bhi jaane do yaar
Hum na karenge pyaar

Aankhen kisi se na ulajh jaayen main darta hoon
Yaaron haseeno ki gali se main gujarta hoon
Aankhen kisi se na ullajh jaayen main darta hoon
Yaaron haseeno ki gali se main gujarta hoon
Bas door hi se karke salaaam

Ye jo mohabbat hai ye unka hai kaam
Arre mehboob ka jo bas lete huye naam
Mar jaayen, mit jaayen
Ho jaayennn Badnaam

Rehne do chodo bhi jaane do yaar
Hum na karenge pyaar
Rehne do chodo bhi jaane do yaar
Hum na karenge pyaar

Tuesday, September 6, 2011

Phoolon ka Taaron ka - Hare Rama Hare Krishna


Phoolon Ka Taaron Ka Sabka Kehna Hai
Ek Hazaron Mein Meri Behna Hai
Sari Umar Hame Sang Rehna Hai

Ye Na Jaana Duniya Ne Tu Hai Kyon Udaas
Teri Pyaari Aankhon Mein Pyar Ki Hai Pyaas
Aa Mere Paas Aa Keh Jo Kehna Hai
Ek Hazaron Mein ...

Jabse Meri Aankhon Se Ho Gayi Tu Door
Tabse Sare Jeevan Ke Sapne Hain Choor
Aankhon Mein Neend Na Dil Mein Chaina Hai
Ek Hazaron Mein ...

Dekho Hum Tum Dono Hain Ek Dali Ke Phool
Maein Na Bhoola Tu Kaise Mujhko Gai Bhool
Aa Mere Paas Aa Keh Jo Kehna Hai
Ek Hazaron Mein ...

Friday, July 22, 2011

Aanewala Pal Jaanewala Hai - Golmaal

Hmmmm Mmmm Aha Ha Ha Hey Hey Hey
Hmmmm Hmmmm

Aanewala Pal Jaanewala Hai (2)
Ho Sake To Iss Mein Zindagi Bitaado Pal Jo Yeh
Jaanewala Hai Ho Ho

Aanewala Pal Jaanewala Hai
Ho Sake To Iss Mein Zindagi Bitaado Pal Jo Yeh
Jaanewala Hai

Ek Baar Yoon Mili Maasoom Si Kali (2)
Ho Khilte Hue Kahaan Pushpaash Mein Chali
Dekha To Yahin Hai Dhundha To Nahin Hai Pal Jo Yeh
Jaanewala Hai Ho Ho

Aanewala Pal Jaanewala Hai
Ho Sake To Iss Mein Zindagi Bitaado Pal Jo Yeh
Jaanewala Hai

Ek Baar Waqt Se Lamha Gira Kahin (2)
Wahaan Dastan Mili Lamha Kahin Nahin
Thoda Sa Hasaake Thoda Sa Rulaake Pal Ye Bhi Jaanewala
Hai Ho Ho

Aanewala Pal Jaanewala Hai
Ho Sake To Iss Mein Zindagi Bitaado Pal Jo Yeh
Jaanewala Hai Ho Ho
Aanewala Pal Jaanewala Hai (2)

Thursday, July 21, 2011

Tere Bina Zindagi se Koi - Aandhi

--FEMALE--
Tere bina zindagi se koi shikwa to nahin
Shikwa nahin, shikwa nahin, shikwa nahin
Tere bina zindagi bhi lekin zindagi to nahin
Zindagi nahin, zindagi nahin, zindagi nahin
Tere bina zindagi se shikwa to nahin
(Ji mein aata hai tere daaman mein
Sar chhupaake hum rote rahe, rote rahe) - 2
Teri bhi aankhon mein aansuon ki nami to nahin

--MALE--
Tere bina zindagi se koi shikwa to nahin
Shikwa nahin, shikwa nahin, shikwa nahin
Tere bina zindagi bhi lekin zindagi to nahin
Zindagi nahin, zindagi nahin, zindagi nahin
(Tum jo keh do to aaj ki raat
Chaand doobega nahin, raat ko rok lo) - 2
Raat ki baat hai, aur zindagi baaqi to nahin

--FEMALE--
Tere bina zindagi se koi shikwa to nahin
Shikwa nahin, shikwa nahin, shikwa nahin

--MALE--
Tere bina zindagi bhi lekin zindagi to nahin
Zindagi nahin, zindagi nahin, zindagi nahin

--FEMALE--
Tere bina zindagi se shikwa

Wednesday, July 20, 2011

Mere Mehboob Qayamat Hogi - Mr X in Bombay

Mere Mehboob Qayaamat Hogii
Aaj Rusavaa Terii Galiyo.N Me.N Muhabbat Hogii

Naam Nikalegaa Tere Hii Lab Se
Jaan Jab Is Dil\-E\-Naadaan Se Rukhasat Hogii
Mere 
Mehboob...

Terii Galii Mai.N Aataa Sanam
Nagame Vafaa Ke Gaataa Sanam
Tujh Se Sunaa Naa Jaataa Sanam
Ab Aa Pahu.Nchaa Aayaa Huu.N Magar
Ye Kah Kar Mai.N Diivaanaa
Katm Ab Aaj Ye Vahashat Hogii
Aaj Rusavaa...

Mere Sanam Ke Dar Se Agar
Bad\-E\-Sabaa Ho Teraa Guzar
Kahanaa Sitamagar Kuchh Hai Khabar
Teraa Naam Liyaa
Jab Tak Bhii Jiyaa
Ai Shammaa Teraa Paravaanaa
Jisase Ab Tak Tujhe Nafarat Hogii
Aaj Rusavaa...

Mere 
Mehboob...

Tuesday, July 19, 2011

Koi Humdum Naa Raha - Jhumroo

hey hey hey hey, ho ho ho ho, hmm hmm hmm hmm hmm
koi hamdam na rahaa koi sahaaraa na rahaa
ham kisi ke na rahe koi hamaaraa na rahaa
koi hamdam na rahaa sahaaraa na rahaa

(shaam tanhaai ki hai aayegi manzil kaise) -2
jo mujhe raah dikhaaye, vahi taaraa na rahaa
koi hamdam na rahaa sahaaraa na rahaa

(ai nazaaron na hanso mil na sakooNgaa tumse) -2
tum mere ho na sake, main tumhaaraa na rahaa
koi hamdam na rahaa sahaaraa na rahaa

(kyaa bataaooN main kahaaN yuN hi chalaa jaataa hooN) -2
jo mujhe phir se bulaa le vo ishaaraa na rahaa
koi hamdam na rahaa...

Monday, July 18, 2011

Neele Neele Ambar Par - Alamgir

Neele neele ambar par chaand jab aaye
Pyaar barsaaye humko tarsaaye
Aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
Pyaas dil ki bujha jaaye

Neele neele ambar par chaand jab aaye
Pyaar barsaaye humko tarsaaye
Aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
Pyaas dil ki bujha jaaye

Oh oonche oonche parvat jab choomte hain ambar ko
Pyaasa pyaasa ambar jab choomta hai saagar ko
Oonche oonche parvat jab choomte hain ambar ko
Pyaasa pyaasa ambar jab choomta hai saagar ko
Pyaar se kasne ko baahon mein basne ko
Dil mera lalchaaye koi to aa jaaye
Aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
Pyaas dil ki bujha jaaye

Neele neele ambar par chaand jab aaye
Pyaar barsaaye humko tarsaaye

Oh thande thande jhonke jab baalon ko sehlayein
Tapti tapti kirnen jab gaalon ko chhoo jayein
Thande thande jhonke jab baalon ko sehlayein
Tapti tapti kirnen jab gaalon ko chhoo jayein
Saanson ki garmi ko haathon ki narmi ko
Mera mann tarsaaye koi to chhoo jhaaye
Aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
Pyaas dil ki bujha jaaye

Neele neele ambar par chaand jab aaye
Pyaar barsaaye humko tarsaaye

Hey chham chham karta saawan boondon ke baan chalaaye
Satrangi barsaaton mein jab tan man bhiga jaaye
Chham chham karta saawan boondon ke baan chalaaye
Satrangi barsaaton mein jab tan man bhiga jaaye
Pyaar mein nahaane ko doob hi jaane ko
Dil mera tadpaaye khwaab jaga jaaye
Aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
Pyaas dil ki bujha jaaye

Neele neele ambar par chaand jab aaye
Pyaar barsaaye humko tarsaaye
La la la..