Showing posts with label Rajesh Khanna. Show all posts
Showing posts with label Rajesh Khanna. Show all posts

Friday, September 16, 2011

Ek Ajnabi Haseena se - Ajnabee

Ek ajnabi haseena se
Yun mulakaat ho gayi
Phir kya hua yeh na poocho
Kuchh aisi baat ho gayi
Ek ajnabi haseena se
Yun mulakaat ho gayi

Woh achanak aa gayi
Yun nazar ke saamne
Jaise nikal aaya ghata se chaand
Chehre pe jhulfein bhikri hui thi
Din mein raat ho gayi

Ek ajnabi haseena se
Yun mulakaat ho gayi

Jaaneman jaanejigar
Hota main shaayar agar
Kehta gazal se teri adaayon par
Jaaneman jaanejigar
Hota main shaayar agar
Kehta gazal se teri adaayon par

Maine yeh kaha toh
Muhjse khafa ho jaanehaya ho gayi
Ek ajnabi haseena se
Yun mulakaat ho gayi

Khubsoorat baat yeh
Chaar pal ka saath yeh
Saari umar mujhko rahega yehga yaad
Khubsoorat baat yeh
Chaar pal ka saath yeh
Saari umar mujhko rahega yehga yaad

Main akela thha magar
Ban gayi woh hamsafar
Woh mere saath ho gayi

Ek ajnabi haseena se
Yun mulakaat ho gayi
Phir kya hua yeh na poocho
kuch aisi baat ho gayi
Ek ajnabi haseena se
Yun mulakaat ho gayi

Thursday, September 15, 2011

Mere Dil Mein Aaj Kya Hai - Daag

Mere dil mein aaj kya hai
Tu kahe toh main bata doon
Teri zulf phir sawaaroon
Teri maang phir sajadoon
Mere dil mein aaj kya hai
Tu kahe toh main bata doon

Mujhe devta banaakar
Teri chahton ne pooja
Mujhe devta banaakar
Teri chahton ne pooja

Mera pyaar keh raha hai
Main tujhe khuda banadoon
Mera pyaar keh raha hai
main tujhe khuda banadoon
Mere dil mein aaj kya hai
Tu kahe toh main bata doon

Koi dhoondne bhi aaye
Toh hame na dhoond na paye
Koi dhoondne bhi aaye
Toh hame na dhoond na paye

Tu mujhe kahin chhupa de
Mein tujhe kahin chhupa doon
Tu mujhe kahin chhupa de
Mein tujhe kahin chhupa doon
Mere dil mein aaj kya hai
Tu kahe toh main bata doon

Mere baazuon mein aakar
Tera dard chain paaye
Mere baazuon mein aakar
Tera dard chain paaye

Tere gesuon main chhupkar
Main jahaan ke gham bhula doon
Tere gesuon main chhupkar
Main jahaan ke gham bhula doon

Teri zulf phir sawaaroon
Teri maang phir sajadoon
Mere dil mein aaj kya hai
Tu kahe toh main bata doon

Wednesday, September 14, 2011

Mere Sapnon Ki Rani - Aradhna

Mere sapnon ki rani kab aayegi tu
Aayi rut mastaani kab aayegi tu
Beeti jaaye zindagaani kab aayegi tu
Chali aa, tu chali aa

Mere sapnon ki rani kab aayegi tu
Aayi rut mastaani kab aayegi tu
Beeti jaaye zindagaani kab aayegi tu
Chali aa, haan tu chali aa

Pyaar ki galiyaan, baagon ki kaliyaan
Sab rang raliyaan poochh rahi hain
Pyaar ki galiyaan, baagon ki kaliyaan
Sab rang raliyaan poochh rahi hain
Geet panghat pe kis din gaayegi tu

Mere sapnon ki rani kab aayegi tu
Aayi rut mastaani kab aayegi tu
Beeti jaaye zindagaani kab aayegi tu
Chali aa, tu chali aa

Phool si khilke, paas aa dil ke
Door se milke chain na aaye
Phool si khilke, paas aa dil ke
Door se milke chain na aaye
Aur kab tak mujhe tadpaayegi tu

Mere sapnon ki rani kab aayegi tu
Aayi rut mastaani kab aayegi tu
Beeti jaaye zindagaani kab aayegi tu
Chali aa, tu chali aa

Kya hai bharosa aashiq dil ka
Aur kisi pe yeh aa jaaye
Kya hai bharosa aashiq dil ka
Aur kisi pe yeh aa jaaye
Aa gaya to bahut pachtaayegi tu

Mere sapnon ki rani kab aayegi tu
Aayi rut mastaani kab aayegi tu
Beeti jaaye zindagaani kab aayegi tu
Chali aa, haan tu chali aa

Chali aa, tu chali aa
Chali aa, haan tu chali aa

Tuesday, September 13, 2011

Chala Jaata Hoon - Mere Jeevan Saathi

Chalaa jaataa hoo kisee kee dhoon me
Dhadakate dil ke taraane liye
Chalaa jaataa hoo kisee kee dhoon me
Dhadakate dil ke taraane liye

Milan kee mastee bharee aakhon me
Hajaaro sapane suhaane liye
Oh, chalaa jaataa hoo kisee kee dhoon me
Dhadakate dil ke taraane liye

Ye mastee ke najaare hai
To ayese mein sanbhalanaa kaisaa meree kasam
Jo laharaatee dagareeyaa ho
To fir kyo naa chaloo main bahakaa, bahakaa re

Mere jeewan mein ye shaam aayee hai
Mohabbat waale jamaane liye
Oh, chalaa jaataa hoo kisee kee dhoon me
Dhadakate dil ke taraane liye

Wo aalam bhee ajab hogaa
Wo jab mere kareeb aayegee meree kasam
Kabhee baiyyaa chhudaa legee
Kabhee has ke gale se lag jaayegee haay

Meree baahon mein machal jaayegee
Wo sachche zoothhe bahaane liye
Oh, chalaa jaataa hoo kisee kee dhoon me
Dhadakate dil ke taraane liye

Bahaaro me, najaaro me najar daaloo
To ayesaa laage meree kasam
Wo naino mein bhare kaajal
Ghooghant khole khadee hain mere aage re

Sharam se bozal zookee palakon me
Jawaan raaton ke fasaane liye
Ho, chalaa jaataa hoo kisee kee dhoon me
Dhadakate dil ke taraane liye

Milan kee mastee bharee aakhon me
Hajaaro sapane suhaane liye
Oh, chalaa jaataa hoo kisee kee dhoon me
Dhadakate dil ke taraane liye