Showing posts with label Taare Zameen Par. Show all posts
Showing posts with label Taare Zameen Par. Show all posts

Saturday, February 19, 2011

Taare Zameen Par - Taare Zameen Par

The lyrics for this song are as follows:



Dekho inhein yeh hai onss ki boodein
Patto ki goodh mein aasamaan se khude
Angdai le phir karwat badal kar
Nazuk se moti hasde phishal kar
Kho na jayee yeh
Taare Zameen par

Yeh toh hai sardi mein
Dhoop ki kirane
Uthre jo aangan ko sunehara sa karne
Maan ke andhero ko roshan sa karde
Thiturti hatheli ki rangat badal de
Kho na jayee yeh
Taare Zameen par
Jaise aankhon ki debiyan mein neediyan
Aur neediyan mein meetha sa sapna
Aur sapne mein mil jaye faristha sa koi
Jaise rango bhari peechkari
Jaise Thitliyan phoolo ki pyari
Jaise bina matlab ka pyaara rista ho koi
Yeh to asha ki lehra hai
Yeh to umeed ki seher hai
Khushiyon ki nehar hai
Kho na jaye yeh
Taare Zameen par
Dekho raaton ke sene pe yeh to
Jhil mil kisi lao se uge hain
Yeh to andiyan ke khushbo hai bhago se beh chale
Jaise kaanch mein chudi ke tukde
Jaise khile khile phoolon ke mukhde
Jaise bansi koi bajaye pedo ke taale
Yeh to jhoke hai pawan ke
Hai yeh gungroo jeevan ke
Yeh to sur hai chaman ke
Kho na jayeee
Taare Zameen par
Mohale ki ronak galiyan hai jaise
Khilne ki zid per kaliyan hai jaise
Muthi mein masam ki jaise hawaein
Yeh hai buzurgo ke dil ki duyaaein
Kho na jayeee
Taare Zameen par
Taare Zameen par
Kabhi baatein jaise dadi naani
Kabhi chale jaise num num pani
Kabhi ban jaye bhole saawalo ki jhadi
Sanate mein hasi ke jaise
Sune hoton pe khushi ke jaise
Yeh to noor hai barse gar pe kismat ho padi
Jaise jhil mein lehar aye chanda
jaise bheed mein apne ka kandha
jaise manmauji nadiya
jhaag udaye kuch kahe
jaise baithe baithe meethi si jhapki
jaise pyar ki dheemi si thapki
jaise kaanon mein sargam
hardam bajti hi rahe
jaise barkha udati hai bundiya…
kho na jaaayeeee yehhhh
Kho na jaayee yehh
kho na jaayee yehh
kho na jaayee yehhhh..

Friday, February 18, 2011

Kholo Kholo - Taare Zameen Par

Kholo kholo darwaze
Parde karo kinare
Khute se bandhi hai hawa
Mili ke chudao sare

Aajao patang le ke
Apni hi rang le ke
Asaman ka shamiyana
Aaj humne hai sajana

Kyun is kadar Hairaan tu
Mausam ka hai tu Mehmaan tu
Duniya saji teri liye
Khud ko zara pehchan tu

Tu dhop hai jam se bhekhar
Tu hai nadi o bekbhar
Beh chal kahin
Ud chal kahin
Dil khush jahan
Teri to manzil hai wohi

o Kyun is kadar Hairaan tu
Mausam ka hai tu Mehmaan tu
Duniya saji teri liye
Khud ko zara pehchan tu


Basi zindagi udasi
Tazne Hasne ko raazi
Garma garma sari
Abhi abhi hai utari

ho zindagi to hai batasha
Meethi meethi si hai aasha
Chakhle rakhle hatheli se dhak le isse

Tujhe mein agar pyaas hai
Barish ka ghar bhi paas hai
Roke tujhe kyon kyun bhalaa
Sang sang tere aakash hai

Tu dhop hai jam se bhekhar
Tu hai nadi o bekbhar
Beh chal kahin
Ud chal kahin
Dil khush jahan
Teri to manzil hai wohi

Kyul gaya dekho asmaan ka rasta khul gaya
Mil gaya kho gaya tha jo sitara mil gaya ,mil gaya
Roshan hui sari zameen
Jagmag hua sara jahan

Ho udne ko tu azad hai
Bandhan koi abb hai kahan


Tu dhop hai jam se bhekhar
Tu hai nadi o bekbhar
Beh chal kahin
Ud chal kahin
Dil khush jahan
Teri to manzil hai wohi

o Kyun is kadar Hairaan tu
Mausam ka hai tu Mehmaan tu

Thursday, February 17, 2011

Maa - Taare Zameen Par


Main Kabhi Batlata Nahin
Par Andhere Se Darta Hoon Main Maa
Yun To Main,Dikhlata Nahin
Teri Parwaah Karta Hoon Main Maa
Tujhe Sab Hain Pata, Hain Na Maa
Tujhe Sab Hain Pata,,Meri Maa

Bheed Mein Yun Na Chodo Mujhe
Ghar Laut Ke Bhi Aa Naa Paoon Maa
Bhej Na Itna Door Mujkko Tu
Yaad Bhi Tujhko Aa Naa Paoon Maa
Kya Itna Bura Hoon Main Maa
Kya Itna Bura Meri Maa

Jab Bhi Kabhi Papa Mujhe
Jo Zor Se Jhoola Jhulate Hain Maa
Meri Nazar Dhoondhe Tujhe
Sochu Yahi Tu Aa Ke Thaamegi Maa

Unse Main Yeh Kehta Nahin
Par Main Seham Jaata Hoon Maa
Chehre Pe Aana Deta Nahin
Dil Hi Dil Mein Ghabraata Hoon Maa
Tujhe Sab Hai Pata Hai Naa Maa
Tujhe Sab Hai Pata Meri Maa

Main Kabhi Batlata Nahin
Par Andhere Se Darta Hoon Main Maa
Yun To Main,Dikhlata Nahin
Teri Parwaah Karta Hoon Main Maa
Tujhe Sab Hain Pata, Hain Na Maa
Tujhe Sab Hain Pata,,Meri Maa

Saturday, February 12, 2011

Bum Bum Bole - Taare Zameen Par

Chaka raka chi chai cho chaka lo rum
Gando vando laka raka tum
Akko takko iddi giddi giddi go
Iddi pai vidi pai chiki chaka cho
Gili gili mal sulu sulu mal
Maka naka huku buku re
Tuku buku re chaka laka
Bikko chikko sili sili sili go
Bagad dum chagad dum chiki chaka cho

Dekho dekho kya woh ped hai
Chadar ode ya khada koi — (2)
Baarish hai ya aasmaan ne
Chod diye hai nal khule kahin
Oh hum jaise dekhe yeh jahaan hai waisa hi
Jaisi nazar apni
Khul ke sochein aao
Pankh zara phailaao
Rang naye bikhrao
Chalo chalo chalo chalo
Naye khwaab bun le

Hey hey hey hey ehhhhhh….

Bum bum bum(bum bum bum)
Bum bum bum bole(bum bum bum bole)
Hey bum chik bole(bum chik bole)
Arre, masti mein dole(masti mein dole)

bum bum bole,masti mein dole
bum bum bole,masti mein tu dol re

Bhala machliya bhi kyun udti nahin
Aise bhi socho na
Socho sooraj roz nahaye ya
Baal bhigoke yeh budhoo banaye hume
Yeh saare taare tim timaye
Ya phir gusse mein kuch badbadate rahein
Khul ke sochein aao…
Pankh zara phailaao
Rang naye bikhrao
Chalo chalo chalo chalo
Naye khwaab bun le

Hey hey hey…
bum bum bole,masti mein dole…
bum bum bole,masti mein tu dol re

Oh rat rat ke kyon tanker full
(tanker full tanker full)
Aankhein band to dabba gul
(oye dabba gul dabba gul)
Oya band darwaze khol
(khol re khol re khol re)
Ho jaa bindaas Bol re
(bol bol bol bol re)
Main bhi hoon(main bhi hoon)
Tu bhi hai(tu bhi hai)
Oh main bhi tu bhi hum sab mil ke
Bum chik bum bum chik bum chik bum bum chik…’
Bum bum bum

Bum bum bole,masti mein dole…
Bum bum bole,masti mein tu dol re

Aisi rangon bhari apni duniya hai kyun
Socho toh socho na
Pyar se chun ke in rangon ko
Kisi ne sajaye yeh sansar hai
Jo itni sundar hai apni duniya
Upar wala kya koi kalakaar hai

Khul ke sochein aao….
Pankh zara phailaao
Rang naye bikhrao
Chalo chalo chalo chalo
Naye khwaab bun le
Chalo chalo chalo chalo chalo chalo chalo chalo
Chalo chalo chalo chalo naye khwaab bun le

Bum bum bole,masti mein dole…
Bum bum bole,masti mein tu dol re
Bum bum bole,masti mein dole…
Bum bum bole,masti mein tu dol re
Bum bum bole,masti mein dole…
Bum bum bole,masti mein tu dol re
Oye bum bum bole

Friday, February 11, 2011

Bheja Kum - Taare Zameen Par

Why?
why cant you?
idiot
why cant you?
kya hai problem?
kyun tera bheja kum?
kya hai problem?

kyun tera bheja kum?
kyun maths mein ho anda?
kyun roz khate danda?
grammar pathetic and spelling all wrong!

aksahr jo nache kya khayi hai bhang?

idiot duffer lazy crazy
idiot,aye duffer,lazy,crazy

kyun bhasha kharaab,kyun na dete jawaab?
kyun karte nahin try, why why but why why cant
you?

kya hai problem?
kyun tera bheja kum?

kyun rehte fissadi,kyun handwriting raadi?
kyun homework adhura,kyun dhyaan nahin
poora?
why…why…why…why
why…why…why…why

idiot duffer lazy crazy
this child can drive anybody mad
someone please call up his dad
tumhara problem kya hai beta?

moorkh shorimani!

kyun number aate kam,kyun karte nahin sum?
kyun geography mein gol,
Bol bol bol bol bol ….

kya hai problem?
kyun tera bheja kum?

idiot
duffer
lazy
crazy

kya hai problem?
kyun tera bheja kum?

idiot

Thursday, February 10, 2011

Jame Raho - Taare Zameen Par

Kas ke joota kas ke belt
Khons ke andar apni shirt
Manzil ko chali sawaari
Kandho pe zimmedari

Haath mein file man mein dum
Meelon meel chalenge hum
Har muskil se takrayenge
Tas se mus na honge hum

Duniya ka naara jame raho
Manzil ka ishaara jame raho
Duniya ka naara jame raho
Manzil ka ishaara jame raho

Yeh sote bhee hain attention
Aage rehne ki hai tension
Mehnat inko pyari hai
Ekdum aagyakari hain

Yeh omlet par hi jeete hain
Yeh tonic saare peete hain
Waqt pe sote waqt pe khate
Taan ke seena badhte jate

Duniya ka naara jame raho

Yahaan alag andaz hai
Jaise chidta koi saaz hai
Har kaam ko taala karte hain
Yeh sapne paala karte hain

Yeh hardum socha karte hain
Yeh khud se poocha karte hain

Kyon duniya ka naara jame raho

Yeh waqt ke kabhi ghulam nahin
Inhain kisi baat ka dhyan nahin
Titli se milne jaate hain
Yeh pedon se batiyate hain

Yeh hawa batora karte hain
Barish ki boondein padhate hai
Aur aasmaan ke canvas pe
Yeh kalakariyan karte hain

Duniya ka naara jame raho